funny , motivational sab hindi me |

Saturday, 9 December 2017

maa ki anmol kavita || best hindi kavita

maa ki kavita

Maa ki anmol kavita :

dosto aaj main aapke liye nayi maa ki anmol kavita ko lekar aaya hu ,dosto maa hi duniya ki sabse anmol cheez hai yah baat sab jaante hain lekin apne pass anmol cheez hote hue bhi uski kadra nahi karte hain , to chaliye dosto is anmol kavita ko shuru karte hain.

maa savedana hai, bhaavana hai, ahsaas hai
maa jeevan ke phoolon , khusboo ka vaas hai
maa rote hue bachhe kaa khusnooma palna hai
maa marusthal me meethi si nadi aur jharana hai
maa lori hai, geet hai , pyaari si thaap hai
maa pooja ki thaali hai, mantro ki jaap hai
maa aankhon ka sisakata hua kinara hai
maa gaalon par pappi hai, mamta ki dhaara hai
maa jhulasate dino me, koyal ki boli hai
maa menhadi hai, kumkum hai, roli hai
maa tyag hai, tapsya hai, seva hai
maa phook se thanda kiya kaleva hai
maa kalam hai, davaat hai, syaahi hai
maa parmaatma ki swaym ek gawaahi hai
maa anushthaan hai, jeevan ki havan hai
maa jindagi ke mohaale me aatma ki bhavan hai
maa chinta hai, yaad hai, hichki hai
maa bachhe ki chot par siski hai
maa prithvi hai, gagan hai, dhuri hai
maa ke bina srishti ki kalpana adhuri hai
mai kavita ki ye panktiyaan maa ke naam karta hu
mai duniya ke sabhi maa ko pranaam karta hu.

dsoto asha nahi balki poori ummed karta hu ki ye maa ki anmol kavita aapko jarur pasand aayi hogi.

share for mother share for maa.

dhanyawaad milte hain agle post me.



No comments:

Post a Comment