Hindu Muslim ke anmol pyaar ki kavita :
dosto aaj kal ke neta {minister}itne corrupt ho gaye hain ki apne hi indian bhai ke prem me aag laga de rahe apne faayde ke liye bhai ke anmol rishtey me daraar daal de rahe hain .so maine hindu aur muslim ke amulya prem ko ek chhoti si kavita me shaamil kiya hai . to chaliye dosto shuru karte hain :
RE INSAAN :
* mandir me daana chugkar chidiyaa
masjid me paani peeti hai
maine suna hai radhaa ki chunari
koi salma begam seeti hai
ek rafi thaa mahfil mahfil
raghupati raghav gaata thaa
ek premchand bachhon ko
EDGAAH sunnata thaa
kabhi kanhaiya ki mahima gaata
raskhaan sunai deta hai
auron ko dikhate honge hindu aur musalmaan
hame to har shaks me insaan dikhai deta hai.
yeh bhi :ahista chal jindgi || kavita
dhanyawaad dosto ye kavita aapko jarur pasand aayi hogi share karna naa bhulein.
share share share share share.
No comments:
Post a Comment