janmdin ki funny kahani :
dosto ye kahani hai ek ladke amit ki jiske gali ka ek ladka raj uski girlfriend riya ko pataa raha thaa baad me jab amit ko yah baat pata chalti hai to wah uski kis tarah band bajata hai to chaliye shuru karte hain:
CHARACTER
AMIT : EK LADKA
RAJ : DUSRA LADKA
RIYA: AMIT KI GIRLFRIEND
amit riya ko uske 18 we janmdin pe ek gift dekar i love you kahata hai riya same to you bolkar chali jaati amit bahut khush hota hai agle saal jab wah uske 19we janmdin par tohfaa dene jaata hai tab wah nakaar deti hai aur kahati hai ki main tum jaise desi se pyaar nahi karti hu amit puchata hai aur pehle kya karti thi to riya kahati hai wo to bachpana thaa aur pichhe dekho us ladke se kuchh sikho wo ladka amit ki gali ka sabse kamina ladka raj rahata hai jo ki ek ladke ko paise de kar andha banaakar road cross karwaata hai amit use dekhate hi pehchaan jaata hai aur jaakar uski dhulai kar deta hai maar khaane ke baad wah kahata hai ki bhai amit help kar de main us ladki ko pataa raha hu amit man hi man jhannnaa jaata hai aur baahar se kahata hai ki thik tu use pataa le par koi buri harkat kiya to {maarugaa kam dard dungaa jyada }raj khus ho jaata hai aur bike se riya ke ghar ke raaste jaata hai aur riya ko road pa uski saheli sath khadi rahati hai aur use dekhkar kahata hai ki riya ghar me jaao road par haraami ghum rahe hain riya ki saheli ko amit paise de diya thaa riya ki saheli kahati hai ki itna kdra to koi bada bhai hi kaegaa riya sochate hue andar chali jaati hai agle din raj riya ko lekar shopping ke liye bazaar jaata hai waha par bhi amit apni harampanti dikhaate hue dukandaar ko paise de kar bada bhai bolne ke liye set kar deta hai jab raj riya ko lekar us dukaan se shooping kar ne baad ghar jaata hai to dukaandaar kahata hai ki itni kdra to koi bada bhai hi karega riya phir sochate hue ghar aati hai agle din saam ko riya ki birthday party me sabhi jaate hain amit bhi aata hai riya amit ko dekhkar chouk jaati hai aur kahati hai ki tum phir chale aaye amit kahata hai ki is bandar se tumahri jodi achhi nahi lagati thi isiliye chala aaya tabhi raj bhi aa jaata hai aur riya ko gift detaa hai riya turnat use raakhi laakar baandh deti hai aur chali jaati hai raaj amit ke pair par girkar rone lagata hai tabhi amit kahata hai ki kaha thaa naa ki :
marugaa kam dard dungaa jyada.
dhnyawaad dosto milte hain agle post me share jam kar kare aur comment karana naa bhulen.
marugaa kam dard dungaa jyada.
dhnyawaad dosto milte hain agle post me share jam kar kare aur comment karana naa bhulen.
No comments:
Post a Comment